Nita's Web
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 28th February, 2013

2/28/2013

3 Comments

 
wafaa ke bhes meN ko_ee raqeeb-e-shahar bhii hai - Ahmed Faraz

wafaa ke bhes meN ko_ii raqeeb-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhii hai

wahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaroN taraf
jo mere baKht meN thaa ab naseeb-e-shahar bhii hai

udhar kee aag idhar bhii pahuNch na jaaye kahiiN
hawaa bhii tez hai jangal qareeb-e-shahar bhii hai

ab us ke hijr meN rote haiN us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke wo zaalim habeeb-e-shahar bhii hai

ye raaz naaraa-e-mansoor hii se ham pe Khulaa
ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shahar bhii hai

kaRee hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
ameer-e-shahar bhii hai aur khateeb-e-shahar bhii hai
3 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 26th February, 2013

2/26/2013

4 Comments

 
judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai - Manzar Bhopali

judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai

shikaayateN bhii kareN ham to kis zabaan se kareN
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai

[Khataa = mistake]

hamaare jism kii uriyaanat pe mat haNsanaa
ke tum jo oRhe huye ho wo ridaa hamaarii hai

[uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet]

hamaare saamane zebaa nahiiN Guroor tumheN
jahaaN pe baiThe ho tum wo jagaa hamaarii hai

[zebaa nahiiN = does not suit; Guroor = pride]
[jagaa = place(jagah)]

4 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 23rd February, 2013

2/23/2013

0 Comments

 
Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa - Daag Dehlvi

Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa 
tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa 

[tamaam=whole] 

haNsaa haNsaa ke shab-e-wasl ashk_baar kiyaa 
tasalliyaaN mujhe de-de ke beqaraar kiyaa

ham aise mahw-e-nazaaraa na the jo hosh aataa 
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thii 
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa_aitabaar kiyaa

ye kis ne jalwaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa 
ki dil se shor uThaa haaye beqaraar kiyaa 

taRap phir ai dil-e-naadaaN ki Gair kahate haiN 
aaKhir kuchh na banii sabr iKhtiyaar kiyaa 

[sabr=patience] 

bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaaN 
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa 

[raaz-e-nihaaN = hidden secret; aashakaar=reveal] 

tumheN to waadaa-e-deedaar ham se karanaa thaa 
ye kyaa kiyaa ke jahaaN ko ummeed_waar kiyaa

ye dil ko taab kahaaN hai ke ho maalandesh 
unhone waadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa

na poochh dil kii haqeeqat magar ye kahate haiN 
wo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiyaa 

kuchh aage daawar-e-mahashar se hai ummeed mujhe 
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa 

[daawar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement i.e. God] 
0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 21st February, 2013

2/21/2013

0 Comments

 
roTiyaaN - Nazeer Akbarabadi

jab aadamii ke peT meN aatii haiN roTiyaaN
phoolii nahiiN badan meN samaaatii haiN roTiyaaN
aaNkheN parii_ruKhoN se laRaatii haiN roTiyaaN
siine oopar bhii haath chalaatii haiN roTiyaaN

jitane maze haiN sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii se jis kaa naak talak peT hai bharaa
karataa phire hai kyaa wo uchhal kood jaa ba jaa
diiwaar phaaNd kar ko_ii koThaa uchhal gayaa
ThaaThTha haNsii sharaab sanam saaqii is siwaa

sau sau tarah kii dhoom machaatii haiN roTiyaaN

jis jaa pe haaNDii choolhaa tawaa aur tanoor hai
Khaaliq ke qudaratoN kaa usii jaa zahoor hai
choolhe ke aage aaNch jo jalatii hazoor hai
jitane haiN noor sab meN yahii Khaas noor hai

is noor ke sabab nazar aatii haiN roTiyaaN

aawe tawe tanoor kaa jis jaa zabaaN pe naam
yaa chakkii choolhe kaa jahaaN gul_zaar ho tamaam
waaN sar jhukaa ke kiijiye DanDawat aur salaam
is waaste ke Khaas ye roTii ke haiN muqaam

pahale inhiiN makaanoN meN aatii haiN roTiyaaN

in roTiyoN ke noor se sab dil haiN poor poor
aaTaa nahiiN hai chhalanii se chhan chhan gire hai noor
peRaa har ek us kaa hai barfii-o-motii choor
har_giz kisii tarah na bujhe peT kaa tanoor

is aag ko magar ye bujhaatii haiN roTiyaaN

poochhaa kisii ne ye kisii kaamil faqiir se
ye mehr-o-maah haq ne banaaye haiN kaahe ke
wo sun ke bolaa baabaa Khudaa tujh ko Khair de
ham to na chaaNd samajhe na sooraj haiN jaanate

baabaa hameN to ye nazar aatii haiN roTiyaaN

phir poochhaa us ne kahiye ye hai dil kaa noor kyaa
is ke mushaahide meN hai khulataa zahoor kyaa
wo bolaa sun ke teraa gayaa hai sha_oor kyaa
kashf-ul-quloob aur ye kashf-ul-quboor kyaa

jitane haiN kashf sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii jab aa_ii peT meN sau qand ghul gaye
gul_zaar phoole aaNkhoN meN aur aish tul gaye
do tar niwaale peT meN jab aa ke dhul gaye
chaudaa tabaq ke jitane the sab bhed khul gaye

ye kashf ye kamaal dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii na peT meN ho to phir kuchh jatan na ho
mele kii sair Khwaahish-e-baaG-o-chaman na ho
bhooke Gariib dil kii Khudaa se lagan na ho
sach hai kahaa kisii ne ke bhooke bhajan na ho

allaah kii bhii yaad dilaatii haiN roTiyaaN

ab jin ke aage maal_puye bhar ke thaal haiN
poorii bhagat unhiiN kii wo saahab ke laal haiN
aur jin ke aage rauGanii aur shiir_maal hai
aarif wohii haiN aur wohii saahab kamaal haiN

pakii pakaa_ii ab jinheN aatii haiN roTiyaaN

kapaRe kisii ke laal haiN roTii ke waaste
lambe kisii ke baal haiN roTii ke waaste
baaNdhe ko_ii rumaal hai rotii ke waaste
sab kashf aur kamaal haiN rotii ke waaste

jitane haiN roop sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii se naache piyaadaa qawaayad dikhaa dikhaa
asawaar naache ghoRe ko kaawaa lagaa lagaa
ghungharoo ko baaNdhe paik bhii phirataa hai naachataa
aur is ke siwaa Gaur se dekho to jaa ba jaa

sau sau tarah ke naach dikhaatii haiN roTiyaaN

duniyaa meN ab badii na kahiiN aur niko_ii hai
na dushmanii wa dostii na tund kho_ii hai
ko_ii kisii kaa aur kisii kaa na ko_ii hai
sab ko_ii hai usii kaa ke jis haath Do_ii hai

naukar nafar Gulaam banaatii haiN roTiyaaN

roTii kaa ab azal se hamaaraa to hai Khamiir
rookhii bhii roTii haq meN hamaare hai shahad-o-shiir
yaa patalii howe moTii Khamiirii ho yaa katiir
gehooN ju_aar baajare kii jaisii ho 'Nazeer'

ham ko sab tarah kii Khush aatii haiN roTiyaaN

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 19th February, 2013

2/19/2013

1 Comment

 
kabhii yooN bhii aa merii aaNkh meN ke merii nazar ko Khabar na ho 
mujhe ek raat nawaaz de magar us ke baad sahar na ho 

[nawaaz - to grant] 

wo baRaa raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhii ataa kare 
tujhe bhoolane kii duaa karooN to duaa meN merii asar na ho 

[raheem-o-kareem - kind & generous; sifat - talent]
 
mere baazuoN meN thakii thakii abhii mahw-e-Khwaab hai chaaNdanii 
na uThe sitaaroN kii paalakii abhii aahaToN kaa guzar na ho 

ye Gazal ki jaise hiran kii aaNkhoN meN pichhalii raat kii chaaNdanii 
na bujhe Kharaabe kii roshanii kabhii becharaaG ye ghar na ho 

wo firaaq ho yaa wisaal ho terii yaad mahakegii ek din 
wo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiraaG ban ke jalaa na ho 

kabhii dhoop de, kabhii badaliyaaN, dil-o-jaaN se donoN qubool haiN 
magar us nagar meN na qaid kar jahaaN zindagii kii hawaa na ho 

kabhii din kii dhoop meN jhoom ke kabhii shab ke phool ko choom ke 
yooN hii saath saath chaleN sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho 

[shab - night] 

mere paas mere habeeb aa zaraa aur dil ke qareeb aa 
tujhe dhaRakanoN meN basaa looN maiN ke bichhaRane kaa kabhii Dar na ho 

[habeeb - beloved] 

1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 16th February, 2013

2/16/2013

0 Comments

 
sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN - Bashir Badr

sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN 
maaNgaa Khudaa se raat din tere siwaa kuchh bhii nahiiN 

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe poojaa tujhe 
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiiN 

jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar 
bhejaa wahii kaaGaz use ham ne likhaa kuchh bhii nahiiN 

ik shaam kii dahaleez par baiThe rahe wo der tak 
aaNkhoN se kii baateN bahut mooNh se kahaa kuchh bhii nahiiN 

do chaar din kii baat hai dil Khaak meN so jaayegaa 
jab aag par kaaGaz rakhaa baaqii bachaa kuchh bhii nahiiN 

ehasaas kii Khushboo kahaaN aawaaz ke juganoo kahaaN 
Khaamosh yaadoN ke siwaa ghar meN rahaa kuchh bhii nahiiN 

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 14th February, 2013

2/14/2013

0 Comments

 
aisaa lagataa hai zindagii tum ho - Bashir Badr

aisaa lagataa hai zindagii tum ho
ajanabii kaise ajanabii tum ho

ab ko_ii aarazoo nahiiN baaqii 
justajoo merii aaKhirii tum ho 

maiN zameeN par ghanaa andheraa hooN 
aasamaanoN kii chaaNdanii tum ho 

dostoN se wafaa kii ummeedeN
kis zamaane ke aadamii tum ho 

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 12th February, 2013

2/12/2013

1 Comment

 
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa  - Bashir Badr

sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa 
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa 

ham bhii dariyaa haiN hameN apanaa hunar maaloom hai 
jis taraf bhii chal paRenge raastaa ho jaayegaa 

kitanii sachchaa_ii se mujh se zindagii ne kah diyaa 
tuu nahiiN meraa to ko_ii doosaraa ho jaayegaa 

main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa hooN dosto
zahar bhii is meN agar hogaa dawaa ho jaayegaa 

rooTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar 
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa

1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 9th February, 2013

2/9/2013

0 Comments

 
aise chup haiN ke ye manzil bhii kaRii ho jaise - Ahmed Faraz

aise chup haiN ke ye manzil bhii kaRii ho jaise 
teraa milanaa bhii judaa_ii ki ghaRii ho jaise 

apane hii saaye se har gaam laraz jaataa hooN 
raaste meN ko_ii deewaar khaRii ho jaise 

manzileN door bhii haiN manzileN nazadeek bhii haiN 
apane hii paaoN meN zanjeer paRii ho jaise 

kitane naadaan haiN tere bhulane waale ke tujhe 
yaad karane ke liye umr paRii ho jaise 

aaj dil khol ke roye haiN to yooN Khush hai 'Faraz' 
chand lamhoN kii ye raahat bhii baRii ho jaise 

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 7th February, 2013

2/7/2013

1 Comment

 
Sparsh - Gulzar

Quraan haathoN meN leke naabiinaa ik namaazii
laboN pe rakhataa thaa, donoN aaNkhoN se choomataa thaa
jhukaake peshaanii yooN aqeedat se chhoo rahaa thaa
jo aayateN paR nahiiN sakaa un ke lams mahasoos kar rahaa ho

maiN hairaaN-hairaaN guzar gayaa thaa
maiN hairaaN hairaaN Thahar gayaa hooN

tumhaare haathoN ko choom kar, chhoo ke apanii aaNkhoN se aaj maiN ne
jo aayateN paR nahiiN sakaa un ke lams mahasoos kar liye haiN


[From his book "Pukhraj"]
1 Comment
<<Previous

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm by an established poet, posted on Wednesdays and Saturdays

    Archives

    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016