ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa
[Shakeel Badayuni]
ko_ii ai "Shakeel" dekhe ye junooN nahiiN to kyaa hai ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa [Shakeel Badayuni] Add Comment un ko aataa hai pyaar par Gussaa ham ko Gusse pe pyaar aataa hai [Ameer Minai] Gussaa = anger jazb-e-ishq salaamat hai to inshaa_allaah kachche dhaage meN chale aayenge sarakaar bandhe [Daag Dehlvi] jazb-e-ishq = feeling of love inshaa_allaah = God willing hazaaroN saal nargis apanii benoorii pe rotii hai baRii mushkil se hotaa hai chaman meN deedaawar paidaa [Iqbal] benoorii = lack of light/sight, blindness deedaawar = someone with a discerning eye tar_daamanii pe shaikh hamaarii na jaa_iyo daaman nichoR deN to farishte wazoo kareN [Khwaja Mir Dard] wo kaun haiN jinheN taubaa kii mil ga_ii fursat hameN gunaah bhii karane ko zindagii kam hai [Anand Narain "Mullah"] chalaa jaataa hooN haNsataa khelataa mauj-e-hawaadis se agar aasaaniyaaN ho zindagii dushwaar ho jaaye [Asghar Gondvi] [mauj-e-hawaadis = waves of misfortune] wo aaye haiN pashemaaN laash par ab tujhe ai zindagii laa_ooN kahaaN se [Momin] pashemaaN = remorseful, ashamed ham Khudaa ke kabhii qaayil hii na the un ko dekhaa to Khudaa yaad aayaa [Meer Taqi "Meer"] qaayil = fan/admirer of bahut shor sunate the pahaloo meN dil kaa jo cheeraa to ik qataraa-e-KhooN na nikalaa [Haider Ali "Aatish"] qataraa-e-KhooN = drop of blood |